Thursday, April 12, 2012
tuhfa daitey raha karo
¤Tohfa¤
Nabi karim (S.A.W) majlis main wa’aiz farma rahay thay.
K tum log 1 doosrey ko tuhfa daitey raha karo.
1 Shakhs ney poocha k ya Rasulallah (S.A.W) ager kisi k pas tuhfa na ho to?
Hazoor(S.A.W) ney frmaya:
“kya tum kisi ko apni muskurahat b nahi dey saktey”
“kya tum kisi ko apni muskurahat b nahi dey saktey”
(SUBHANALLAH.)
admi ki halakat 3 baton mein hy
1)tauba ki umed pe gunah karna
2)zindagi ki umed pe tauba na karna
3)tauba kiye bagher rehmat ki umed rakhna
2)zindagi ki umed pe tauba na karna
3)tauba kiye bagher rehmat ki umed rakhna
Tuesday, April 3, 2012
Dua kaisi honi chahiye:: Ek Doctor ki dua kya honi chahiye??:
Har koi apni apni rizq me barkat ki dua karta hai ki uske kaam me aur rozgar me barkat ho, magar sahi dua yehi hai ki bas itni dua kare ki uske rizq me barkat ho!!! phir ALLAH chahega ki woh kis tarah ho, magar dua me in lafzo ka istemal ki me jho kaam karta hu us kaam ki hajat logo ko zyada ho jaye aur log mere paas aakar us ka hal mange aur me uske evaz me kuch ujrat ya fees le lu, tou is tarah ki dua jaiz nahi hai ki ALLAH hi behtar janta hai ki bande ko kis zariye se rizq mile, aisi dua me kahi be-wuqufi bhi dikhai deti hai aur woh ye ki agar ye dua kare ki fala kaam ki logo ko hajat ho aur mere paas aaye tou aisi hajat tou ho sakti hai logo ko magar sare usi ke paas aaye ye bhi zaroori tou nahi na!!! aur agar aisi dua karenge tou phir chashma banana wale aur doctor ke peshe se jhude log kya ye dua karenge ki logo ki aankhe kharab ho aur log bimar pade!! Taki mere paas aaye!! Is wajah se aisi dua karna jaiz nahi hoga.
Ab aaiye dekhte hai ki ek Doctor ki kya dua honi chahiye.:
YA ALLAH!! Meri rozi ka zariya hi logo ki bimariyan hai!! ab me ye dua tou hargiz nahi kar sakta ki log zyada bimar pade ya chicken guniya ki season aaye. Meri tou yehi dua hai ki jho bhi mariz mere paas aaye, mere ilaj se kamil shifa paaye, kyunki ye meri khush-naseebi hai ki mujhe logo ki taklifo ko door karne aur khidmate khalk ke zariye apni khud garzi ko door karne ki anmol sa’adat bakhshi hai. halanki ye badi zimmedari hai, tou is zimmedari ko me imandari se ada kar saku, aiski quwwat mujhe dena.
Mariz ko me apne hunar ka saman na samjhu, sirf daulat kamane ka zariya na samjhu, use achcha karne ke siwa maqsad na rakhkhu, uska ilaj karte huwe uski tawangari pe tawajjoh na du, aisi aqle salim ata farma.
Bimar ki sabhi shikayate dhayan se sunu, tan ki taklifo ke saath man ki taklifo par bhi tawajjho du, nidan aur ilaj ke saath ummid aur dilase ke do pyare lafzo ki bhi use khas zaroorat hai, ye na bhulu. Uske rishte daar aur saathidaro ke tension ka aur unki ma’ashi halat par zyada boz na pade uska khayal rakhkhu, aisi humdardi, sabr aur faiyyazi mujhe ata farma.
Ye tijarat sawab kamane ki hai, lekin isme fisal jane ka darr bhi kadam-kadam par hai. me apne aap ko har halat me sambhal paau, kisi bhi mahol me mariz ko meri zaroorat ho tou me hazir ho jau, sajida faislo ki nazuk ghadi me, tajirana zimmedari, insaniyat aur mariz ki family ke bharosemand dost ki hesiyat ke bich me balance kar saku aisi samaj aur istekamat ata farma.
Mera nidan kamzarf hai, tu us par yakeen ki muhar laga. Mera ilaj shakmand hai, tu use faiz bakhsh jama pehna. Meri dawa be-asar hai, tu use aksir e aazam bana. Meri koshish nakam hai, tu use kamyabi ki daulat de, aur awwal se akhir tak shifa dene wala tou sirf tu aur tu hi hai, tawanai, tandurasti aur shifa ke chashme tou sirf teri hi bargah se behte chale aarahe hai, me tou sirf ek bahana hu, ye baat hamesha mujhe yaad rahe, aisi taufiq ata farma.
TASIR TOU ZAROOR DAWA AUR DUA ME HAI, MAGAR SHIFA MARIZ KI, DASTE KHUDA ME HAI.
Subscribe to:
Posts (Atom)