Thursday, August 2, 2012

Fazilat-E-Ramzan Hadees-E-Pak For Ramdan

 Ramdan Mubarak Masle Masails Of Ramdan Mubarak 
JO SHAKHS KISI ROZADAR KO IFTAR KARAYE TO YE GUNAH KI MAAFI & DOZAKH SE NAJAAT KA ZARIYA HAI

(BAIHAQI)

MASLA:
MUH ME THOOK IKATTHA KARKE NIGAL JAANA BAGAIR ROZE K BHI ACHCHHA NAHI AUR ROZE ME TO YE MAKROOH HE (QANOON-E-SHARIAT)

Insaan Ka Har Ek Nek Amal Khud Usi Ke Liye hai
Magar Roza Wah Khas Mere Liye hai
Aur Mai hi Is Ka Badla Dunga (Bukhari)

Jo ROZADAR Ko Paani Pilaaiga ALLAH Use Mere HOUZ Se Pilaaiga Ki JANNAT Me Dakhil Hone Tak Piyasa Na Hoga.
(Ibn-e-Khuzaima 3:192:1887)

MAS'ALA:
Jab 2-2 Rakat Karke Padh Raha He To Har 2 Rakat Par Alag Alag Niyyat Kare & Agar 20 Rakat Ki Ek Sath Niyyat Ki Tab Bhi Jaiz He.
(Durre mukhtar)

Aap Jante Hai?
Shuruaat Me Sahari Ki Ijazat NA Thi
Roza Rakhne Wala So Na Jaye
Tab Tak Khaa Pee Sakta Tha.
[KHZAINUL IRFAAN]

Huzoor Sallallahu Alaiyhi WaSallam Ne Farmaya:
"Ramzan Me Umra Karna Hajj Ke Barabar Bal Ke Mere Saath Hajj Karne Ke Barabar He."
(Sahih Muslim: 3098)

Lab pe hadeeso ki rawani le chalo
seene pe aayate quraani le chalo
agar milna hai Bag-e-firdous me
To peshani pe sajde ki nishani le chalo

"MAAH-E-RAMZAN ME KISI "ROZADAAR"
KO ROZA IFTAAR KARAANA BAKHSHISH KA SABAB HOGA.
(MISHKAT SHARIF)

ROZA AUR QUR'AN BANDE KI SHAFA'AT KARENGE
AUR
DONO KI SHAFA'AT QABOOL HOGI.
(TIBRANI
BAIHAQI)

ROZA SIPAR
(DHAAL) HAI
AUR
DOZAKH SE HIFAAZAT KA MAZBOOT QILA HAI
(BAIHAQI)

Qatra-2-qatra aasu/pasina muh me chala gaya
&
nigal Liya,to ROZA na gaya
Magar zyada tha
ke namkini pure muh me mahsus hui to jata raha
(Bahare Shariat)

BAAR BAAR
KULLI KARNA
YA
MISWAAK KARNA
YA
SAR & BADAN ME TEL KI MALISH KARNA
YA
SURMA LAGANA
YA
KHUSHBU SUNGHNA
MAKROOH NAHI
(AALAMGIRI)

Faizan-E-Ramzan


SUBAHANALLAH:
RAMZAN ME EK BAAR TASBEEH KARNA
(YANI SUBAHANALLAH KEHNA)
IS MAAH KE ILAWA 1000 BAAR
TASBEES KARNE SE AFZAL HE
(DURRE MANSUR1)

RAMZAN KE ROZEDAAR KE LIYE
SUB'H SE SHAM TAK
70,000 FARISHTE
DUA-E-MAGFIRAT KARTE REHTE HAI.
(SHAUBUL IMAAN JILD.3)

JO KOI RAMZAN ME KISI MUSALMAN KI HAAJAT PURI KARTA HAI
TO ALLAH TA'ALA USKI 10 LAKH HAAJATE PURI FARMATA HAI.
(NUZ'HATUL MAJAALIS)

Apne maal ki zakat nikal ki
woh Pak karnewali hai
Tujhe Pak kar degi
(MUSNAD SHARIF)

TARJUMA KANZUL IMAN:
anqarib me neamato ko unke liye
likh dunga jo darte
aur
zakat dete he
(SURE A-ARAF 156)

Mas'Ala
Roza Yad Rehne Ke Bawjud HUQNA(Medicine injection) Liya ya Naak Ke Zarye Dawai Chadhai Roza Jata Raha. (Aalamgiri)

Ramzan Me Gharwalo Ke Kharch Me Kushadgi Karo Kynki Is Mahine Me Kharch Karna Allah Ki Rah Me Kharch Karna He.
(Jame Sageer)

Jo Ramazan me iman aur sawaab ke sath(namaz me)qayam kare
uske agle pichhle tamaam gunah mita diye jayenge
(Bukhari)

SARKAR AlaihisSalaam Farmate He:
"ROZA aur QUR'AN
Bande Ke Liye QIYAMAT Ke Din Shafa'at Karenge."
[Musnad-E-Imaam Ahmad Jild:2 Safa:586 Hadees:6637]

Durood-E-Alfi:
ALLAHUMA SALLI ALA MUHAMMADIW WA ALA AALI MUHAMMADIN BI ADADI KULLI ZARRATIM MAA'ATA ALFIN ALFA MARRATIW WABAARIK WA SALLIM.

Mas'ala:
Hajaamat Banwaane
Tel (Oil) Lagane Ya Surma Wa KHUSHBU Lagane Se Roza Nahi Too'tta
Balki Roze Me ye Chize Achchi Hai.
(Bahare shariat J:5)

MAAH-E-RAMZAN KE 4 NAAM HAI:
1.MAAH-E-RAMZAN
2.MAAH-E-SABRA
3.MAAH-E-MUASAAT
AUR
4.MAAH-E-WUSA'AT-E-RIZQ
(TAFSIR-E-NAEEMI J.2 S.208)

MAS'ALA:
BILA QASD AGAR GALE ME DHUWA, GUBAR AUR MAKKHI DAKHIL HO JAYE TO ROZA NAHI TUTEGA.
(FATAWA-E-RAZVIYA)

MASLA:
Iftar ki dua par tashrih karte hue Mulla Ali Qari alairahma ne kaha ke iftar karne ke bad dua padhe
(mirqaat)
(Sunan Abu'dawood H.no:2010)

AEY LOGO !
TUMHARE PAAS AZMATWALA AUR BARKATWALA MAHINA (RAMZAN) AAYA
WO MAHINA JISME EK RAAT 1000 MAHINO SE BEHTAR HAI
(BAIHAQI)

Jis Rozadar Ne Bhool Se Khaya Piya Wo Apna Roza Pura Kare (Uska Roza Nahi TooTa)
kyunki Use Allah Ne Khilaya Pilaya
(MUSLIM Hadis:1155)

MASLA:
Kisi GARIB Ke Zimma Rupya Baaqi He
To Use Maaf Karne Se ZAKAAT Ada Nahi Hogi.
(BAHARE SHARIAT)

Kaunsi Namaz Kab Kaam Ayegi:
Fajar- Marte Waqt
Zohar- Qabr Me
Asar- Munkir Nakir Ke Sawalat Me
Magrib- Hisab Kitab Me
Esha- Pul Sirat Par

RAMZAN ME KHANE-PEENE KA HISAAB NAHI
SEHRI AUR IFTAAR KE WAQT DUA QABUL HOTI HAI
AISI FAZILAT KISI AUR MAHINE KO HAASIL NAHI.
(TAFSIR-E-NAEEMI)

JANNAT KE 8 DARWAZE HAI
JISME SE EK KA NAM "RIYAAN" HAI,
IS DARWAZE ME ROZEDARO KE SIWA AUR KOI DAAKHIL NA HOGA.
(BUKHARI SAFA.7197)

Mas'ala:
Aisi Cheeze Jo Muh Me Rakhne Se Ghul Jaati Hai, Wo Cheez Muh Me Rakhi Aur Thook Nigal Gaye Tou Roza Toot Gaya
(Durre Mukhtaar)

Mubarak ho apko
1 Mahina Rehmat ka
4 Hafte Barkat ke
30 Din Maghfirat ke
720 hours Paki ke
432000 Minuts Hidayat ke
2592000 Second Noor ke
Assalam Ae Mahe Ramzan

Wednesday, August 1, 2012

कुरान

कुरान मे 30 सीपारे 114 सुरह 540 रुकुअ 86430 कलमा 333760 हरुफ 6666 आयते 2584 मरतबा अलाह का करम 26 नबीया का जीकर और 14 सजदे है ।


कुरान

कुरान मे 30 सीपारे 114 सुरह 540 रुकुअ 86430 कलमा 333760 हरुफ 6666 आयते 2584 मरतबा अलाह का करम 26 नबीया का जीकर और 14 सजदे है ।


Hazrat Ali R.D.


Hazrat Ali (Radi Allahu anhu) ke kual - (Golden Words)


1) Khuda se daro aur tumhe kisi se darne ki zarurat nahi hai.
2) Dil ki tamam uljhano se nijat khuda ki farma bardari hai.
3) Allah ka zikr dil ki shifa hai.
4) Apni zindagi is tarah guzaro ke jab aap mar jao to log khamosh
ho jaye, aur jab tum zinda ho to wo aap ke sath ke liye tarse.
5) Zindagi ke din badlo ki tarah se guzarte hai, to acche kaam kro
jab tum zinda ho.
6) Har bewakufi behtar hai duniya ki mohabbat ki Banisbat.
7) Mauka deri se aata hai, aur jaldi se guzar jata hai.
8) Ghamand,buzdili,aur kanjusi kharab hai mere liye. Aur achi
chiz hai aurto ke liye.
9) Duniya ka sab se khushal insane wo hai. Jise Khuda ne nek biwi
di hai.
10) Jo khud ko janta hai.Wo khuda ko janta hai.

11) Apne hosh ko mat khou kisi bhi chiz ke liye Jannat ke siwa.
12) Dil ki uljhane aur pareshaniya jism ki har bimari Se
khatarnak hai.
13) Apni khuwahisho se ladna sab se ladne se behtar Hai.
14) Tum me sab se taqatwar wo hai jiska apni nafs Par kabu hai.
15) Daulat aur lalach har burai ki jad hai.
16) Baghair aqeedat ke amiri sab se badi garibi hai.
17) Insan ki ahemiyat uski acchi niyyat par munhasir Karti hai.
18) Ilm rooh ki taazgi hai.
19) Danishmand insan marne ke bad bhi zinda rehta Hai.
20) Har qabiliyat ka nichod ilm hai.

21) Danishmand ki izzat karna khuda ki izzat karne Ke barabar
hai.
22) Sakhawat har aib ko chupa deti hai.
23) Kanjus ki daulat siwaye patthar aur kankar ke Kuch nahi.
24) Khuwahishat hamesha kayam rehne wali sab se Badi dushman
hai.
25) Jo zameen ke upar chal rahe hai 1 din isi ke Andar jayenge.
26) Dil ki har dhadkan insan ko maut ke aur nazdik Le jati hai.
27) Log jab tak zinda rehte hai sote rehte hai. Aur Marte waqt jagte
hai.
28) Sachai sabar ka phal hai.
29) Hunar kabhi nahi marta.
30) Hunar se hasil ki gayi chiz khandan se mili hui Chiz se behtar
hai.


31) Paarsai se behtar koi panagah nahi.
32) Insan ka bartao uski soch batata hai.
33) Khush mizaji se har chiz kharidi ja sakti hai.
34) Narmi taqat badhati hai.
35) Hasad hunar ko is tarah khata hai jaise aag lakdi Ko.
36) Jo udhaar deta hai sunne wale kaan wahi haq Rakhta hai
mamle tak dobara pahochne ka.
37) Maafi achai ka taaj hai.
38) Nafsani khwahishat har burayyo ka jaal hai.
39) Har teer jis tarah nishane par nahi lagta.Usi tarah Har dua
kubul nahi hoti.
40) Riya kari har neki ko barbad kar deti hai.


41) Dar tumhare gunah ke siwa kuch nahi.
42) Jo tumhari taarif karta hai.asal me tumhe qatal ka Karta.
43) Jo apni taarif khud se karta hai.dar-asal apni Bechargi batata
hai.
44) Apni waaliden ki izzat karo.tumhari aulad Tumhari izzat
karegi.
45) Insan apni zuban ke piche chupa hota hai.
46) Ahle akal ki zuban us ke dil ke piche hoti hai.
47) Zuban teer se zyada gehra waar karti hai.
48) Jo insan har shak se apna dil paak kar leta hai. Wahi sacha
aqidat mand hai.
49) Danishmand ka khayal najumi ki tarah hota hai.
50) Talashe haq me nikalna jaise rahbari ke fawware Me jana hai.
51) Bewaqufo ki majlis me baithna apni ruh par zulm karna hai.

QABRISTAN KE AADAB:



(Ahle sunnat ki nazar se)
>Qabar Par Kadam Na Rakhe
>Qabro Par Mombatti
aur Agarbatti Na Jalaye
>Fuzul Baate or Hasne Se Bache..!

Ramazan ka mahina SABR ka mahina hai

Ramazan ka mahina SABR ka mahina hai

Aur

SABR ka badla JANNAT hai

(BEHQI)

Roza rakha karo

Iske jaisa koi dusra

AMAL nahi



Hazrat Musa Alaisalam ne Allah ta'ala se arz kiya




Tuesday, July 31, 2012

IFTAR KI DUAA: => TARJMA


A ALLAH

maine tere liye roza rkha
aur tujh pr iman laya
aur tujhi pr bhrosa kiya
aur tere diye hue rizq se iftar kiya.










MASLAKE-ALA-HAZRAT ZINDABAD!


¤Woh HAFIZ-E-QUR'AN the,Sirf 1 mahine
me,Hafiz baane woh,
¤Woh Alim the,13 saal ki Umar me Alim baane
woh,
¤Woh Mufti the,13 saal,10 mahina,4 din ki Umar
mein pehla fatwa diye woh,
¤Woh ustaad the,55 se Zyada uloom jante they
woh,
¤Woh Masanif the, 1000 se zyada kitabein likhi
unhone,
¤Woh Shaayar the,125 saal ke bawajood unki
Shayari Aaj bhi log'on ke zehaan me taro taaza
hai,
¤Woh Mujahedeen the,1400 saal purani Deen ko
unhone zinda kiya,
¤Woh Sunniyon ke dilon me rehtey hai,
~Unhein Zamaana ALA-HAZRAT IMAM AHMED
RAZA KHAN BARELVI KEHTA HAI.
FAIZ-E-RAZA JAARI RAHEGA,
MASLAKE-ALA-HAZRAT ZINDABAD!


DUA Apne Liye Mangna IBAADAT Hai

DUA Dusro Ke Liye Mangna KHIDMAT Hai

IBAADAT Se JANNAT Milti Hai

Aur KHIDMAT Se KHUDA Milta Hai.

Monday, July 23, 2012

Sehri Khaya Karo Kyon Key

Hazrat Anas (Radiallah-O-Anho) Byan Karte Hain Key: Rasulallah (Salallaho Alihi Waslam) Ney Farmaya, “Sehri Khaya Karo Kyon Key Sehri Khane Main Barkat Hoti Hai”.
(Sahih Al-Muslim, Kitabus-Siyyam, Hadith #2445)

Saturday, July 21, 2012



To ALLAH farmata hai,
“Aay Ibn-e-Aadam..
Tujhe Tamam rishton main sab se zyada main he haqeer nazar aaya k sab k dar se chup k gunah karna gawara kiya,
Sirf Mujh (ALLAH) se chupana gawara na kiya”
(Hadis e Qudsi)
MAHE RAMZAN AYA MAHE RAMZAN AYA 
YA KHUDA HAR ASIYO PAR YE BADA AHSAN HAI ZINDAGI MEI PHIR ATA HUMKO KIYA RAMZAN HAIMAHE RAMZAN AYA MAHE RAMZAN AYA TUJHPEI SADKE JAUN RAMZAN,TU AZIM O SHAN KE KHUDA NE TUJHMEI HI NAZIL KIYA QURAN HAIMAHE RAMZAN AYA MAHE RAMZAN AYA HAR GHARI REHMATE BHARI , HAR TADAF HAI BARKATEMAHE RAMZAN RAHMATO OR BARKATO KI KAL HAIMAHE RAMZAN AYA MAHE RAMZAN AYA ASIYO KI MAGFIRAT KA LEKAR AYA HAI PAYAM JHOOM JAUN MUJRIMYO, RAMZAN BAYE GUFRAR HAIMAHE RAMZAN AYA MAHE RAMZAN AYA RAZA DARO JHOOM JAO Q K DIDAR E KHUDAKHULD MEI HOGA TUMHE YE WADA E REHMAN HAIMAHE RAMZAN AYA MAHE RAMZAN AYA DOJAHA KI NEMATE MILTI HAI ROZADAR KO MAHE RAMZAN AYA MAHE RAMZAN AYJO NAHI RAKHTA HAI ROZA WO BADA NADAN HAI 
A

Thursday, April 12, 2012

Quran pak k humaray uper 5 haqoq hain..



1) Is per Emaan lana

2)Isko perhna

3)Isko samajhna

4)Is per amal kerna

5)Quran pak ki dawat aam kerna…

tuhfa daitey raha karo


                         ¤Tohfa¤
Nabi karim (S.A.W) majlis main wa’aiz farma rahay thay.
K tum log 1 doosrey ko tuhfa daitey raha karo.
1 Shakhs ney poocha k ya Rasulallah (S.A.W) ager kisi k pas tuhfa na ho to?
Hazoor(S.A.W) ney frmaya:
“kya tum kisi ko apni muskurahat b nahi dey saktey”
 (SUBHANALLAH.)

admi ki halakat 3 baton mein hy

1)tauba ki umed pe gunah karna

2)zindagi ki umed pe tauba na karna

3)tauba kiye bagher rehmat ki umed rakhna

1 Sahabi ny Huzur Sallallaho alehe wasallam se pocha

1 Sahabi ny Huzur Sallallaho alehe wasallam se pocha
Hamy kesy pata chalega k hmari Nmaz Qabol ho gai?
Huzoor ny frmaya
Jb Tmhara Agli Namaz Prhne Ka Dil kary..

Tuesday, April 3, 2012

Dua kaisi honi chahiye:: Ek Doctor ki dua kya honi chahiye??:


Har koi apni apni rizq me barkat ki dua karta hai ki uske kaam me aur rozgar me barkat ho, magar sahi dua yehi hai ki bas itni dua kare ki uske rizq me barkat ho!!! phir ALLAH chahega ki woh kis tarah ho, magar dua me in lafzo ka istemal ki me jho kaam karta hu us kaam ki hajat logo ko zyada ho jaye aur log mere paas aakar us ka hal mange aur me uske evaz me kuch ujrat ya fees le lu, tou is tarah ki dua jaiz nahi hai ki ALLAH hi behtar janta hai ki bande ko kis zariye se rizq mile, aisi dua me kahi be-wuqufi bhi dikhai deti hai aur woh ye ki agar ye dua kare ki fala kaam ki logo ko hajat ho aur mere paas aaye tou aisi hajat tou ho sakti hai logo ko magar sare usi ke paas aaye ye bhi zaroori tou nahi na!!! aur agar aisi dua karenge tou phir chashma banana wale aur doctor ke peshe se jhude log kya ye dua karenge ki logo ki aankhe kharab ho aur log bimar pade!! Taki mere paas aaye!! Is wajah se aisi dua karna jaiz nahi hoga.


Ab aaiye dekhte hai ki ek Doctor ki kya dua honi chahiye.:


YA ALLAH!! Meri rozi ka zariya hi logo ki bimariyan hai!! ab me ye dua tou hargiz nahi kar sakta ki log zyada bimar pade ya chicken guniya ki season aaye. Meri tou yehi dua hai ki jho bhi mariz mere paas aaye, mere ilaj se kamil shifa paaye, kyunki ye meri khush-naseebi hai ki mujhe logo ki taklifo ko door karne aur khidmate khalk ke zariye apni khud garzi ko door karne ki anmol sa’adat bakhshi hai. halanki ye badi zimmedari hai, tou is zimmedari ko me imandari se ada kar saku, aiski quwwat mujhe dena.


Mariz ko me apne hunar ka saman na samjhu, sirf daulat kamane ka zariya na samjhu, use achcha karne ke siwa maqsad na rakhkhu, uska ilaj karte huwe uski tawangari pe tawajjoh na du, aisi aqle salim ata farma.


Bimar ki sabhi shikayate dhayan se sunu, tan ki taklifo ke saath man ki taklifo par bhi tawajjho du, nidan aur ilaj ke saath ummid aur dilase ke do pyare lafzo ki bhi use khas zaroorat hai, ye na bhulu. Uske rishte daar aur saathidaro ke tension ka aur unki ma’ashi halat par zyada boz na pade uska khayal rakhkhu, aisi humdardi, sabr aur faiyyazi mujhe ata farma.


Ye tijarat sawab kamane ki hai, lekin isme fisal jane ka darr bhi kadam-kadam par hai. me apne aap ko har halat me sambhal paau, kisi bhi mahol me mariz ko meri zaroorat ho tou me hazir ho jau, sajida faislo ki nazuk ghadi me, tajirana zimmedari, insaniyat aur mariz ki family ke bharosemand dost ki hesiyat ke bich me balance kar saku aisi samaj aur istekamat ata farma.


Mera nidan kamzarf hai, tu us par yakeen ki muhar laga. Mera ilaj shakmand hai, tu use faiz bakhsh jama pehna. Meri dawa be-asar hai, tu use aksir e aazam bana. Meri koshish nakam hai, tu use kamyabi ki daulat de, aur awwal se akhir tak shifa dene wala tou sirf tu aur tu hi hai, tawanai, tandurasti aur shifa ke chashme tou sirf teri hi bargah se behte chale aarahe hai, me tou sirf ek bahana hu, ye baat hamesha mujhe yaad rahe, aisi taufiq ata farma.


TASIR TOU ZAROOR DAWA AUR DUA ME HAI, MAGAR SHIFA MARIZ KI, DASTE KHUDA ME HAI.

Friday, March 30, 2012

Hazur ﷺ ki Misal (Un Ki Tarah) Koi Nahi. Ayat e Kahf 110 ka asaan sa jawab

Hazur ﷺ ki Misal (Un Ki Tarah) Koi Nahi. Ayat e Kahf 110 ka asaan sa jawab

Quran e Majeed me beshumar Ayaat e Karima ha jin me Kufaar ne Anbia AlaihiSalam ko Apni tarah Bashar kaha aur Ap ﷺ ka bhi bemisal hone ka sabut mojud ha un me se aik aik ayat pesh keruga Ta k Log is note ko mukamal parhle warna aaj hamara paas ganto ki filme dekhna ka time nikal ata ha Islami note parhna ka nahi chahe 5 mins lagte ho. Quran e Majeed

Sura Noor ayat 63: Rasool Allah ﷺ k pukarna ko apas me aisa na thahra Lo Jesa tum me aik Dusre ko Pukarta ho.

Tashreeh: Is Ayat e Karima me Aam Bashar aur Nabi K Sath Kalam kerna me wazeh faraq bayan kia gaya ha k Jis Tarah Aam Insaan ko Apne Jesa Bashar Jaan ker use Bara Bhai wagaira keh ker pukarta ho. Rasul ﷺ ko is tarah mat pukaro kyu k Rasul ﷺ aam bashar ya Mahaz Bashar nahi Rasul ﷺ aur Aam bashar me Bahot faraq ha. Aur Rasool ﷺ ko apni tarah bashar kehna Kuffar ki adat ha.

Sura Hood Ayat 27: To us ki Qom k Sardar jo Kafir hue the Bole hum to tumhe apne hi jesa Aadmi (Bashar) Dekhta ha.

Aitraz: Quran e Majeed me Ayat e Karima Sura Kahf 110 me aya ha "Tum farmao Zahir Surat e Bashri me To me Tum Jesa hu"

Jawab: Is ayat e Karima k tahat Badmazhab log kehta ha k Aqa ﷺ hamari tarah bashar hue lekin Quran k asoolo se ye log bilqul na waqif ha aur kufaar k amaal ko apna rahe ha. Tafaseer ki taraf hum nahi jaate aur sirf abi note chota rakhna k liye Badmazhabo se ye puche ga k Jab Anbia Alaisalam Ba Tareeqe Tawazeh Kalam kera to kia us ummati ko bhi wo Kalam dohrane ki ijazat ha agar Najdio ka jawab ha ha to phir Hazrat Adam AlaiSalam ki Dua

Sura Al A'araf Ayat no 23: Ai Hamare Parwadigaar hum ne apni Jano per Zulam kia.

Ab Hazrat Adam AlaiSalam ko Zalim kehna ki himmat ha kisi Najdi me aur agar keh de to Kafir..... Umeed ha samaj gaye hoga. Ab Hadees e Mubarka jin ko yaqninan Najdi bhi manta ha.


*** Hazrat Abu Hurera RadiAllah Anho se Marwi ha Unho ne Farmaya k Sarkar e Aqdas ﷺ ne raat din Pe Dar Pe (Yaani Raat or din dono waqt) Roza Rakhna se mana farmaya to Aik Shakhs ne Hazur ﷺ se Arz kia Ya Rasool Allahﷺ! Ap ﷺ to Raat Din Pe Dar Pe Roza Rakhta ha. Hazur ﷺ ne farmaya k Mere MISAL (MERE JESA) Tum me Kon ha? Beshak Me Is haal me Raat Guzarta hu k Mera Parwardigaar muje khilata ha.
(Bukhari Shareef: Page 263, Jild 1 & Muslim Shareef Page 352 Jild 1 and Mishkaat Shareef Page 175) Original Arabic Versions.

Hazrat Imam Nawawi Rahmatullah Alai farmata ha Hazur ﷺ k qol ka matlab ye ha k Khudaye Taala Muje wo Taqat deta ha jo Auro ko Kha pee ker hasil hoti ha (Nawawi Ma'a Muslim Page 351 Jild 1)

*** Hazrat Ibn e Umar RadiAllah Anho se Riwayat ha k Rasool Kareem ﷺ ne Maahe Ramzan me Raat Din Pe Dar Pe Roza rakha to logo ne bhi raat din pe dar pe roza rakha to Hazur ﷺ ne logo ko aisa kerna se mana farmaya_ Arz kia gaya Hazur ﷺto raat din pe dar pe Roza Rakhta ha. Sarkar ﷺ ne farmaya me tumare Misal nahi hu me Khilaya aur pilaya jata hu.
(Muslim Page 351 Jild 1.)

Umeed ha ab Badmazhab Sharam kera ga aur is Mukhtasir se note se apne Bugaz o kufaar jesa Aqeeda aur Ashiqan e Rasool ﷺ k Aqeeda me gaur o fikar ker k Haq ki taraf aye ga. Ye note chota rakha gaya ta k log is ko parhe warna ye Mozu bahot bara ha aur Beshumar Ayaat e Karima aur Ahadees hum pesh ker sakta ha. Ye note share b kera aur Koi Galti Kotaahi hui ho to agaah farma de.

Wednesday, March 28, 2012

"AL-QURAAN"

ESSA bin Maryam ne ARZ ki

Aye ALLAH

Aye RABB Hamare

HUM pr ASMAN se

1 Dastrkhawan UTAAR k wo Hamare liye EID ho

Hamare Agle Pichhlon ki.

(Surah=Ma,idah Ayat=114

Para=7)


SUBHA NALLAH

Qaabl-e-Ghor BAAT hy k Hazrt ESSA alehi ssalam ne Dastrkhawan utarne k DIN ko apne Agle aur Pichlon k liye EID ka din QARAAR dia

TOU phir jis din ALLAH ki SAB se Bari Nymat Hamare AAQA alehi ssalam TASHREEF laaye wo DIN MUSALMANO k liye EID ka din Q? nahi ho skta?

Tuesday, March 27, 2012

April fool Ki Tabakariyan


Author : Muhammad Mehmood Miyan Barkati Prof Reading by : Mufti e Azam Mufti Ahmed Miyan Barkati Translated by : Abu Bakar





The Sarkar (Salla Allahu 'alayhi wa Sallam) of the two worlds said: When two friends meet, shake hands and read Darood Sharif upon me, before they depart from each other all their sins will be forgiven.

Asalato Wassalamo ‘Alaika Ya RasoolAllah (Sallallahu Alaihi Wassalam)



April fool



Dear beloveds, from among the ills within society is the ill of lying. This is such a big ill that unknowingly so many sins occur. However, Shaytan has created a special day for this, that is April 1st. People call it April Fool, which means: Make your friends and dear ones look like fools by lying to them.

It is written in Quran-e-pak: “Allah’s curse is on the liars”

~ISLAMI RASMAIN~


BACHA K PAIDA hony par ye kam karny chahiye_


Bacha paida hoty he gusul dia Jaye


Naal kata jaye aur jis Qadar Jaldi hosky Usk Dahny Kan mai Azan aur Bayen Kan mai Takbeer kahi jaye

khuwah Ghar ka koi Aadmi He Azan aur Takbeer Kehdy ya Masjid ka Moazan ya Imam Kahy aur Agr Azan kehny pr Khairat o Sadqa ki Niyat se unki koi Khidmat krdi jaye to boht Acha hai Kyun k Haq Talla ka Shukria hai Phir ye Koshish ki jaye k Bacha ko pehli Guthi Koi NAIK ADMI DE

kyu k Tafseer Rooh ul bayan

mai hai k Bacha mai Pehli Guthi deny waly ka Asar Ata hai aur Uski se Aadat peda hoti hain Balky SUNNAT to ye hai k Bacha ki Thanaik krdi jaye (Thanaik usy kehty hain k koi NAIK ADMI APNY MU MAI KHAJUR YA KHARMA CHABA KR APNI ZABAN SE BACHY K PAIT MAI Sbse pehly jo Giza pohnchy Wo Kharma ho aur Kisi Buzrig k mu ka Luaab SAHABA Karam Alyhimu Rizwan Nabi Salallahu talla alyhe wa aalyhe wasallam se apny Bachon ki Thanaik karaya krty thy_

Agar Farzand ki Khushi mai Milaad Shareef ya Fatiha buzrigan kardi jaye to boht Acha hai

US K SIWA TAMAM RASUMAT BAND KRDI JAYEN.


Chuchak O bhaat ko Mitana Zaruri hai.

Quran Pak ki Taleem

Do Jahan k SULTÅÅN,Sarwar e ZeeSHÅN, Sahib e Quran,Mahboob e Rahman Azzawajal wa Salallahu talla alyhe wa aalyhe wasallam ka Farman e Magfirat Nishan hai,


Jo Shakhs Apny Bety ko Nazira Quran Kareen Sikhaye us k sabh Agly pichly Gunah Baksh diye jaty hain_

(muj'ma ul Zawaid jild 7 safha #344 hadis 11271)


Shahan'Shah e MADINAH Salallahu talla alyhe wa aalyhe wasallam ka Farman e Baa Qareena hai,

Jo Shakhs Jawani mai Quran seekhy,Quran us k Gosht or Khoon mai paiwast hojata hai or Jo Burhapy mai Seekhy or Usy Quran bar bar bhol jata ho or us k Bawajud wo usy na Chorta ho to Usk liye 2 Ajar hain_


(Kanzul Aumaal jild 1 safha #267 hadis 2378)


Fåizån-e-SuNNÅT

Pg: no 335.

Kufar ne kaha k hum?

Kufar ne kaha k hum or Paigambr bashar hain Kyun k hum or wo dono khany sony m wabsta hain AANDHO ne ye na Jaana k Anjam main boht bara farq hai. Bhair or Shehd ki makhi ek he phool chosti hain mgr es se zehr or us se Shehd banta hain,dono hirn Ek he dana pani khate pety hn,magr ek se Paakhana dosre se MUSHK banta hai.Ye jo khata hai es se paleedi banti hai Nabi k khane se NOOR E KHUDA HOTA HAI.




Tmhara SUWAL TO AESA HAI jese koi kahe k mere kitab or QURAN YAKSAAN HAIN. Qk Ye dono ek he Roshnai se ek Kagaz par ek he Qalam se likhi gae.Ek he Kism k Huruf Tahjee se dono bani ek he press main Chupen,ek he jild saaz ne jild bandhi,ek he Almari m rakhi gae phr en m faraq kia hai?


MAGAR KOI BEWAKUF B NAHE KAHEGA K EN ZAHIRE BATON SE HAMARI KITAB QURAN KI TARH HOGAe.To Hum SAHIB E QURAN KI MISL KIS TRH HOSKTE HAIN?


Ye na dekha k HUZUR ka Kalma parha jata hai,unko Miraaj hue,un ko Namaz m salam krte hn,un par Durood bhejte hain,tamam Ambia o Aulia unke khadim e bargah hain.


HUZUR KI ABDIAT SE RUB KI SHAN ZAHIR HOTE HAI OR RUB KI AZMAT SE HAMARI ABDIAT CHAMAKI WAZIR BHI SHAHI KHADIM H OR SIPAHE B MAGR WAZIR SE BADSHAH KI SHAN KA ZUHUR OR SHAHI NOKRI SE SIPAHE KI IZAAT.. 

*AL-QURAAN*


Aye Ghaib ki Khabrain batane waale ( NABI )

Beshak Hum ne Tumhain beja

Haazir Naazir

aur

Khush Khabari deta

aur

Dar sunata

aur

ALLAH ki tarf iskay Hukm se Bulata

aur

CHAMKA DENAY WALA AFTAB.

(surah=Ahzaab Aayat=45-46

para=22)


Is Aayat me AAQA (Salallahu talla alyhe wa aalyhe wasallam) ko SHAAHID means GAWAAH kaha gaya hy

aur Gawah wohi hota hy

jo Haazir bi ho aur Naazir bi.

aur saath Siraj-O- Muneer yani CHAMKA DENAY WALA sooraj b kaha gaya

yani

Jis tarah sooraj Apne NOOR se Poore Aalam ko Roshan kiye huye hain

isi tarah

AAQA (Salallahu talla alyhe wa aalyhe wasallam) b Apne NOOR se Tamaam JAHAANO ko MUNAWWAR kiye huye hain.

%Mai SADQY YA RASOOLULLAH%

NIDA-E-YA-RASOOL-ALLAH (AlyHi SALAM)


IMAM BUKHARI k Ustad IMAM ABU BAKAR IBN-E-ABI-SHIBA Apni Sanad se Riwayat Karte Hain


"Hazrat Umar Farooq k Zamane Mai Qehet para Ek Shakhs (Bilal Bin Haris Sahabi) ne RASOOL'ALLAH Ki Qabar Shareef par Hazir Ho Kr Arz ki:


>*YA-RASOOL'ALLAH Apni Ummat K Lye Barish Ki Dua Farmaen Wo Halak Horahi Hai*

RASOOL'ALLAH ne Khuwab Mai Us Shakhs se Farmaya

>UMAR k Pas Jao Mera SALAM Kaho Or BASHARAT Do k Barish Hogi Or Ye b Kaho k Narmi Ikhtiyar Karen

Us Shakhs ne Hazir ho k Khabar di Hazrat Umar Ye Sun k Bohat Roye.

(Mussanif Ibn-e-Abi Shiba Jild#7 Pg:#482,

Dalail-un-Nabuwah J7 P48)

(AlyHim-Ur-Ridwan)


Sabit Hua YA-RASOOL'ALLAH Kehna Sahaba ka Tariqa Hai Or Yhi AHL-E-SUNNAT ka Shi'aar Hai


.-._.-.

'-._.QaLB-E-RaZa

%Mai SADQY YA RASOOLULLAH%

Khuwaja Qutubuddin Bakhtiyar Kaaki ka Janaza Tayyar Tha.

Khuwaja Qutubuddin Bakhtiyar Kaaki ka Janaza Tayyar Tha.


Khalqat jama thi,

Ek Shakhs ne Unki Wasiyat Parhi...

Meri Namaz-e-Janaza Wo Shakhs Parhaye Jisne Apni Zindagi me kbhi koi Namaz Qaza Na ki ho Or na hi Asar ki Sunnat Jisne Kbhi Chori Ho.

Majma Pr Sannata Cha Gaya, Koi Shakhs Aage Na Barha, Akhir 1 Shkhs Khara Hua or Ahista Ahista chalte huy Aage Barha or Usne Namaz-e-Jnaza Parhai or Num Aankhon se Kaha:

"Jane wale to chale gaye Dosron ka Raaz Fash kr gaye"


Namaz Parhane Wale Shakhs Kon The?

Badshah-e-Waqt

Shams ud din Al Tamash


Ya ALLAH PAK Hamari Taqdeer Me Aisa Koi Hukumran likh de

(AaMeen)

BAYAN HO KIS ZUBAN SE MARTABA SIDDIQ E AKBAR KA,

BAYAN HO KIS ZUBAN SE MARTABA SIDDIQ E AKBAR KA,



HE YAARE GAAR MAHBOOB E KHUDA SIDDIQ E AKBAR KA.


ILAHI REHEM FARMA KHADIM E SIDDIQ E AKBAR HUN,


TERI REHMAT K SADQEY WASTA SIDDIQ E AKBAR KA.


GADA SIDDIQ E AKBAR KA KHUDA SE FAZL PATA HE,


KHUDA K FAZL SE ME HUN GADA SIDDIQ E AKBAR KA.


RUSUL OR ANMBIA K BAD JO AFZAL HO AALAM SE,


YE AALAM ME HE KIS KA MARTABA SIDDIQ E AKBAR KA.


FAIZAN E SIDDIQ E AKBAR

¤MAGRIB K BAAD 6 NAWAFIL¤



MAGRIB K FARZ O SUNNAT ada kr k 6 Rakaat Nafil 2,2 Rakaat kr k Ada kijye_


Pehli 2 Rakaatain shru krny se pehly ye Arz kijye:

YA ALLAH Azzawajal! En 2 Rak'aton ki Barakat se Mujhy Darazi Umar bil khair Atta farma_


Dosri 2 Rakaatain Shru krny se pehly Arz kijye:

YA ALLAH Azzawajal! en 2 Rak'aton ki Barakat se Balaon se meri Hifazat farma_


Tesri 2 Rakaatain Shru krny se pehly es tarh Arz kijye:

YA ALLAH Azzawajal! En 2 Rak'aton ki Barakat se Mujhy Sirf apna Muhtaj Rakh aur Gairon ki Muhtaji se Bacha_


Har 2 Rakaat k ba'ad 21 bar Qul huwallah ya Ek bar Surah Yaseen Parheye blky hosky to 2no he parh lijye,ye b Hoskta hai koi ek YASEEN Shareef buland Awaz se parhy aur Dosry Khamoshi se sunain,es mai ye khyal rakhye k Dosra es Douran Zaban se YASEEN SHAREEF NA PARHY_

inshaALLAH Azzawajal Raat Shru hoty he Sawab ka Ambar Lag jayega_

har Bar YASEEN SHAREEF k baad Dua-e-Nisf-e-Shaban b parheye_



Monday, March 26, 2012

Zina ka Azaab:



Zina: Ek mard Ek aisi Aurat se ya Ek aurat ek aise mard se Sohbat/Humbistari kare jiska uske sath Nikah hi na hua ho!!!!

Zina karne wale mard ko zani kaha jata hai aur aurat ko Zaniya kaha jata hai.

Aaqa Alayhissalam ne farmaya:

Jab koi Mard Aur Aurat Zina karta he to Emaan unke sine se nikal karsar par saye ki tarah thahar jata he

[Mukasheftul kuloob safa: 168]

Hazrat Ikrema ne Hazrat Abdullah ibne Abbas رضي الله عنه se pucha Emaan kis tarah nikal jata he? AAP ne farmaya is tarah! Aur apne hath ki ungliya dusre hath ki ungliyo me dali Phir nikal li aur farmaya "Dekho is tarah"

[Bukhari sharif Jild:3, Safa: 614, Hadees: 1713]

Hazrat Abuhuraira wa Ibne Abbas رضي الله عنه se Rivayat he Sakar-E-do aalam صلى الله تعالى عليه واله وسلم ne farmaya

"Momin hote hue to koi Zina kar hi nahi sakta"

[Bukhari Sharif, Jild:3, Safa:614, Hadees: 1714]

saaf saaf matlab hai ki zina karne wala/wali us waqt iman wale nahi hote, aur agar aisi hi halat me maut aajaye tou!! ALLAH ki panah!!!

ALLAH farmata hai Jo shaks Zina karta he use "Asaam" me dala jayega

[Qurane Kareem Para 19, Sure Furkan Aayat 68]

Asaam ke bare me Ulma-E-Deen ne kaha he ki wo Jahannam ka 1 Gaar he jab uska Moonh khola jayega to uski Badbu se tamam jahannami chikh uthenge

[Mukasheftul Kuloob Safa: 167]

Zina karnewale shadi shuda ho to khule Maidan me Pattharo se maar dala jaye aur Gair shadi shuda (Kuwara) ho to 100 kode mare jaye

[Bukhari Sharif Jild Safa:615/615, Hadees:1715]

Saturday, March 24, 2012

=¤Hadees-e-Pak¤=

 Jab tum me se koi shaks Janaza dekhe or us k sath na ja sake to us waqt tak khara Rahe jab tak wo agay na nikal jaye. (Muslim, Vol#1, Pg# 671)

Jis darkhat ki lakri naram hogi

Jis darkhat ki lakri naram hogi, uski shakhain ziadah hongi, bus naram tabiat or khush kalami apnaao, ta k tumaray dost ziadah hon..!(Hazrat Ali AS)

Apna moh Uss waqt “KAABA BAITULLAH” ki tarf na kro.


1. Jab ghusal krne lago.
2. Jab hajat krne lago.
3. Jab thooknay lago.
4. Jab jootay utarne ya pehnne lago.
5. Jab kuli krne lago.
6. Jab kapray utarne aur pahanay lago.
7. Jab naak saaf krne lago.